Tongue Twisters in Hindi – ऐसे टंग ट्विस्टर जो आपकी जुबान सही कर दे
टंग ट्विस्टर |
01
Samajh samajh ke,
samajh samajh ko,
samajh samajhna
bhi ek samajh hain,
samajh samajh ke,
jo na samjhe
meri samajh me wo
na samajh he.
02
chandu ke chacha ne,
chandu ke chacha ne,
chandu ke chachi ko,
chandni chowk me,
chandi ke chamach se
chatni chatai.
03
khadak singh ke khadak ne se
khadak singh ke khadak ne se,
khadakti hain khidkiyan,
khidkiyon ke khadak ne se,
khadakta hain khadak singh.
04
Bhool se koi bhool hue ho to,
bhool samajh ke bhool ko
bhool jana,bhoolna sirf bhool
ko,bhool se hume na bhool jana.
05
Dube Dubai me dub gaya.
06
Pital ke patile me papita pila pila.
07
Kachcha papad pakka papad.
08
Road Roller,Load Roller.
Upper Roller,Lower Roller.
09
Unt uchcha,Unt ki pith unchchi,
Punch unchi unt ki.
10
Char chor char chhate me,char achhar chate,chat-chat kar char chhata
chor churakar bhage.
No comments:
Post a Comment